Saturday, January 07, 2006

Status Of Women In Pakland

Pakistan ki Aurat Aur Insaaf.

Aaj ikeesveen sadee main bhi ham aurat ki izzat karma nahin seekhay, ham chahay kitnay bhi parhay likhay hon ya kintnee hi bari msanad pay qabiz ho jain hamari makrooh zahniyat nahi badlti……Aurat chahy Maan ho, beti ho, worker ho ya officer, PM ho ya Peon, ham jab bhi daltay hain Buri nazar hi daltay hain, kiyon ??? hamara Mazhab to hamain ya nahi sikhata. Nahi taaleem hmain wahshi pana sikhati ha.

Abhi kal ki baat hai ka Hamaray comondo Saddar Sahiib nay apna Aaqaon kay dais main khulam khula ya farmaya k “jo aurat note kamana ya America ya Canada jana chahitee ha who apna aap ko rape karwa laiti ha, ya ab Pakistan main fashion ban chukka hai!!!!!” ya hamaray har dil azeez comondo sadder sahib thay jo is waqt quam kay Baap hain aur Pakistan ki har aurat un ki maan , bahen and beti hai!!

Ya jumlay Saddar sahib nay Soch samajh kay nahi bolay laikin un kay moonhsay phisal gai aurtaqreer ki rawani main who apni zahniyat bol gai, ya chota sa jumla un ko nahi Pakistani Mard ki aurat kay baray main soch ki sab sa achi representation hai.

Unjaanay main sadder Musharaf poori Pakistani society ki akaasi kar gai, yahan aurat chahy chaddar main ho ya chaar deewari main, school ma ho ya madrassay main har jaga Shikar ki jati hai. Jab say aurat job main aana shuroo hui ha apna apna khandaanon ki support kay liya ya phir jab say hamari economi kamzor hona shuroo hui ha and aurat ki taaleem aam hona shuroo hui ha , job par aurton ki rasai barhi ha , un ki harassment bhi barhi ha,

Watan azeez main Aurat Nurse and teacher pehalay bani us kay saath drs bhi banina shuroo huain lekin kam karnay wali aurat ko kabhi bhi acha nahi samjha gaya and ya haqeeqat hai k aurat kahin na kahin exploit zaroor hoti ha, yak am uz kam bhi buri nazar ka shikar har roz ki jati ha, kai dafa usa pna hi log , kareebi aziz hinishana banatay hain.

Hospitals main kam karnay wali auratain aas pass kam karnay walon , superiors and colleagues ki badnazri ka shikar to hoti hain lekin Mard agar superior ho to aur bura hai kiyon k who moqa paa tay hi harkat zaroor karta hai.

Pichlay saal Sindh ki advisor to chief minister Rahila tiwana nay apna hi aik Dar ul aman pa na sirf chhapa mara balka us na tamam findings ki video reporting tak ki , us na baad main federal B area dar ul amman ki matron and assistant director ko suspend kia and moqa sa aik larki shamim ara nashay ki halat main bar aamad ki, us kay ilawah jo inkishafat huya who hairan kun na thay ka us dar ul amman say larkiyan officers and baray logon ko supply ki jati thein , raat ki tariki say leaky din kay ujalay main bhi dhanda chalta rahta tha, us kay illawa kuch power full afrad kay pass us kay back doors ki chabian tak thein jo who apni marzi say istaamaal kartay thay. Us kay illawa Dar ul amman ka ration tak staff aapas main dvide karta tha / hai . aurton kay jimson ki kamai say bhi oopar say neechay tak hissa ya percentage punhachti hay, ab us na murad soobay main kon kon power full hain ya aap aur ham sab jantay hain……. Ya sirf aik Dar ul amman ki kahani hai jo sarkari hai aur yah report last year 24January ko News papers main file ho chuki hai.

Aik doosiree report ka mutabik Lahore shehar main taqreeban 50 aisay groh sargarm hain jo India, Bagladesh, Srilanka, Bhutan and Nepal say aurton ko job and behtar mustakbil ka aasraa de ka Pakistan latay hain and yahan unhain prostitution pa laga liya jata hai, na sirf ya balki who badnaseeb auratain is pakland main kharidi ya baichi bhi jati hain….ya sirf Lahore main nahin balkay pooray Pakistan main ho raha hai……aur Sindh main us ka sab say Bara beupari aaj kal CM ki kursi pa baitha hai….ya koi secret nahi hai bal ka un sahib par is silsilay main kai FIR tak darj hain IS LIYA TO HAM SADDAR SAHIB AUR UN KI SELECTION KAY SAKHT MAUTARIF HAIN…! Jab hamaray sadder sahib ki apni soch ya ho ko hamari auratain Canada, amerika aur paisay ki khatir ya sab kuch karti hain to Arbab sahib to sirf ya tijarat hi kartay hain Na….!

Watan e azeez main har 3 minute main aik aurat rape hoti hai phir chahay who thhana ho, Dar ul amman ho, hamaray lehlahatay khait hon ya ghar ki char deewari lekin report hotaiy hain sirf .000001 % !!! ziyadah tak auratain hi chup rahti hain k zubaan kholain gi to khoon kharaba ho gay a husband usa chhor dega ya khandan badnaam hoga ya court main zaina ordinance usay hi sazaa dega ya phir……ya phir …..ya phir …….president kahay ga usay VIZA chahiya………

Hamari Auratain hahay parliament main hon ya paday kay peechay insaaf un say intna hi door hai jitna ka aasmaan pa baitha hua khuda….

Silent Sufi

Mithi.sindh

No comments: